Aap shamme risalat hain parwaney hum ab hum akhir yahan se kidhar jayenge Naat Lyrics

Aap shamme risalat hain parwaney hum ab hum akhir yahan se kidhar jayenge
zindagi to humari isi dar se hai aap se door honge to marr jayenge

Jisne manga hai qatra to dariya diya jisne daman phasara use bhar diya
bas tumhari sakhawat humko bharam khali daman kabhi hum na rehjayenge

Zaat me humto sarwar nakare sahii phir bhi nisbat humari nayari sahii
bas tumhari shafa'at pe humko bharam khuld me bhi ay pyare agar jayenge

Misl e parwana hum aapko dhundte subhe sadiq bhi aaqa ab hone ko hai
jabke deedar hum aapka payenge gir qadmon me aaqa hum marjayenge

Jayen ajmer ko jaayen bagdaad ko shah e taiba kisi ke bhi darbar ko
ek suwal unse hardam ye karte rahe ya wali kab madine ko hum jayenge

Arz dilse ye ashraf ki aaqa suno han! bazahir hai nasir ke lab per magar
jab me aaun madine me deedar ko kehna deewane ab tum kidhar jaaoge

submit by Arbaz Qadri



Connect With us