Aisa Tujhe Khaliq Ne Tarah Daar Banaya Naat Lyrics

ऐसा तुझे ख़ालिक़ ने तरह-दार बनाया
यूसुफ़ को तेरा तालिब-ए-दीदार बनाया

तल'अत से ज़माने को पुर-अनवार बनाया
नकहत से गली कूचों को गुलज़ार बनाया

दीवारों को आईना बनाते हैं वो जल्वे
आईनों को जिन जल्वों ने दीवार बनाया

वो जिंस किया जिस ने, जिसे कोई न पूछे
उस ने ही मेरा तुझ को ख़रीदार बनाया

ऐ नज़्म-ए-रिसालत के चमकते हुए मक़्ते'
तू ने ही इसे मतला'-ए-अनवार बनाया

कौनैन बनाए गए सरकार की ख़ातिर
कौनैन की ख़ातिर तुम्हें, सरकार ! बनाया

कुंजी तुम्हें दी अपने ख़ज़ानों की ख़ुदा ने
महबूब किया, मालिक-ओ-मुख़्तार बनाया

अल्लाह की रहमत है कि ऐसे की ये क़िस्मत
'आसी का तुम्हें हामी-ओ-ग़म-ख़्वार बनाया

आईना-ए-ज़ात-ए-अहदी आप ही ठहरे
वो हुस्न दिया, ऐसा तरह-दार बनाया

अनवार-ए-तजल्ली से वो कुछ हैरतें छाईं
सब आईनों को पुश्त-ब-दीवार बनाया

'आलम के सलातीन भिकारी हैं भिकारी
सरकार बनाया तुम्हें सरकार बनाया

गुलज़ार को आईना किया मुँह की चमक ने
आईने को रुख़्सार ने गुलज़ार बनाया

ये लज़्ज़त-ए-पा-बोस कि पत्थर ने जिगर में
नक़्श-ए-क़दम-ए-सय्यद-ए-अबरार बनाया

ख़ुद्दाम तो बंदे हैं, तेरे ख़ुल्क़-ए-हसन ने
प्यारे तुझे बद-ख़्वाह का ग़म-ख़्वार बनाया

बे-पर्दा वो जब ख़ाक-नशीनों में निकल आए
हर ज़र्रे को ख़ुर्शीद-ए-पुर-अनवार बनाया

ऐ माह-ए-'अरब मेहर-ए-'अजम ! मैं तेरे सदक़े
ज़ुल्मत ने मेरे दिन को शब-ए-तार बनाया

लिल्लाह करम मेरे भी वीराना-ए-दिल पर
सहरा को तेरे हुस्न ने गुलज़ार बनाया

अल्लाह त'आला भी हुआ उस का तरफ़-दार
सरकार ! तुम्हें जिस ने तरफ़-दार बनाया

गुलज़ार-ए-जिनाँ तेरे लिए हक़ ने बनाए
अपने लिए तेरा गुल-ए-रुख़्सार बनाया

बे-यार-ओ-मददगार जिन्हें कोई न पूछे
ऐसों का तुझे यार-ओ-मददगार बनाया

हर बात बद-आ'मालियों से मैं ने बिगाड़ी
और तुम ने मेरी बिगड़ी को हर बार बनाया

उस जल्वा-ए-रंगीं का तसद्दुक़ था कि जिस ने
फ़िरदौस के हर तख़्ते को गुलज़ार बनाया

उन के दुर्रे-ए-दंदाँ का वो सदक़ा था कि जिस ने
हर क़तरा-ए-नैसाँ दुर्र-ए-शहवार बनाया

उस रूह-ए-मुजस्सम के तबर्रुक ने, मसीहा !
जाँ-बख़्श तुम्हें यूँ दम-ए-गुफ़्तार बनाया

उस चेहरा-ए-पुर-नूर की वो भीक थी जिस ने
मेहर-ओ-मह-ओ-अंजुम को पुर-अनवार बनाया

उन हाथों का जल्वा था ये, ऐ हज़रत-ए-मूसा !
जिस ने यद-ए-बैदा को ज़िया-बार बनाया

उन के लब-ए-रंगीं की निछावर थी वो जिस ने
पत्थर में, हसन ! ला'ल-ए-पुर-अनवार बनाया


शायर:
मौलाना हसन रज़ा ख़ान

====================================

Aisa Tujhe Khaliq Ne Tarah Daar Banaya
Yusuf Ko Tera Taalib-E-Deedaar Banaya

Tal'at Se Zamane Ko Pur-Anwar Banaya
Nak Hat Se Gali Kucho Ko Gulzaar Banaya

Diwaro Ko Aaina banate He Wo Jalwe
Aaino Ko Jin Jalwo Ne Diwar Banaya

Wo Jins Kiya Jis Ne, Jise Koi Na Puchhe
Us Ne Hi Mera Tujh Ko Khareedaar Banaya

Aye Nazm-E-Risaalat Ke Chamakte Hue Maqta
Tune Hi Use Matla-E-Anwaar Banaya

Kaunain Banaae Gae Sarkaar Ki Khaatir
Kaunain Ki Khaatir Tumhe, Sarkaar ! Banaaya

Kunji Tumhe Di Apne Khazano Ki Khuda Ne
Mehboob Kiya Maalik-O-Mukhtaar Banaya

Allah Ki Rahmat Hai Ki Aise Ki Ye Qismat
Aasi Ka Tumhe Haami-o-Gam-Khwaar Banaya

Aaina-e-zaat-e-ahadi Aap Hi Thehre
Wo Husn Diya, Aisa Tarah-daar Banaya

Anwaar-e-tajalli Se Wo Kuchh Hairate Chhaai
Sab Aaino Ko Pusht-ba-deewaar Banaya

Aalam Ke Salateen Bhikhari Hain Bhikhari
Sarkaar Banaya Tumhe Sarkaar Banaya

Gulzaar Ko Aaina Kiya Munh Ki Chamak Ne
Aaine Ko Rukhsaar Ne Gulzaar Banaya

Ye Lazzate Pabos Ke Patthar Ne Jigar Me
Naqsh-E-Kadam-E-Sayyad-E-Abraar Banaya

Khuddaam To Bande He, Tere Khulq-e-hasan Ne
Pyaare Tujhe Bad-Khwaah Ka Gam-Khwaar Banaya

Be-parda Wo Jab Khaak-Nasheeno Me Nikal Aae
Har Zarre Ko Khursheed-e-pur-anwaar Banaya

Ai Maah-e-'arab Mehr-e-'ajam ! Main Tere Sadqe
Zulmat Ne Mere Din Ko Shab-e-taar Banaya

Lillaah Karam Mere Bhi Weeraana-e-dil Par
Sahra Ko Tere Husn Ne Gulzaar Banaya

Allah Ta’ala Bhi Huwa Uss Ka Tarafdaar
Sarkaar Tumhein Jis Ka Tarafdaar Banaya

Gulzaar E Jinaan Tere Liye Haq Ne Banaye
Apne Liye Tera Gul E Rukhsaar Banaya

Be Yaaro Madadgaar Jinhein Koi Na Pooche
Aison Ka Tujhe Yaaro Madadgaar Banaya

Har Baat Bad-Amaliyon Se Maine Bigadi
Par Tumne Meri Bigdi Ko Har Baar Banaya

Us jalwa-e-rangeen Ka Tasadduq Tha Ki Jis Ne
Firdaus Ke Har Takhte Ko Gulzaar Banaya

Un Ke Durr-e-dandaan Ka Wo Sadqa Tha Ki Jis Ne
Har Qatra-e-naisaan Durr-e-shahwaar Banaya

Us Rooh-e-mujassam Ke Tabarruk Ne, Maseeha !
Jaan-bakhsh Tumhen Yun Dam-e-Guftaar Banaya

Us Chehra-e-Pur-Noor Ki Wo Bheek Thi Jis Ne
Mehr-o-mah-o-anjum Ko Pur-Anwaar Banaya

Un Haathon Ka Jalwa Tha Ye, Ai Hazrat-e-moosa !
Jis Ne Yad-e-baida Ko Ziya-Baar Banaya

Unn Ke Lab E Rangeen Ki Nichhaawar Thi Wo Jis Ne
Patthar Mein Hasan La’al E Pur Anwaar Banaya



Connect With us