Apne Dar Pe Jo Bulaa-o To Bahot Ach’cha Ho
Meri Bigri Jo Banaa-o To Bahot Ach’cha Ho
Qaid e Shaitaañ Se Churha-o To Bahot Ach’cha Ho
Mujh Ko Apna Jo Banaa-o To Bahot Ach’cha Ho
Gardish e Daur Ne Paamaal Kiya Mujh Ko Huzoor
Apne Qadmoñ Me Sulaa-o To Bahot Ach’cha Ho
Yuñ To Kehlaata Hun Banda Me Tumhara Lekin
Apna Keh Ke Jo Bulaa-o To Bahot Ach’cha Ho
Gham e Payham Se Ye Basti Meri Weeran Huwi
Dil Me Ab Khud Ko Basaa-o To Bahot Ach’cha Ho
Kaif Us Baadah e Gulnaar Se Milta Hi Nahiñ
Apni Aankhoñ Se Pilaa-o To Bahot Ach’cha Ho
Tum To Murdoñ Ko Jila Dete Ho Mere Aaqa
Mere Dil Ko Bhi Jila-o To Bahot Ach’cha Ho
Ro Chuka Yoon To Main Auron Ke Liye Khoob Magar
Apni Ulfat Me Rulaao To Bahut Ach'cha Ho
Yoon Na Akhtar Ko Phiraao Mere Maula Dar Dar
Apni Chaukhat Pe Bithaao To Bahut Ach'cha Ho
Submit By Raza Ali