Apne Maa Baap ka tu Dil na dukha dil na dukha
Apni Jannat ko khuda ke liye dozakh na bana

Mere Malik Mere Aqa Mere Maula ne kaha

Baap ke pyar se achhi koi daulat kya hai
Maa ka anchal jo salamat hai to jannat kya hai
Ye hai razi to nabi razi hai razi hai khuda
Apne Maa Baap ka tu Dil na dukha dil na dukha
Jab bhi dekha to tuje pyar se dekha maa ne
Khun e dil dudh ki surat me pilaya maa ne
Tune is pyar ke badle me use kuchh na diya
Apne Maa Baap ka tu Dil na dukha dil na dukha
Unki mamta ne bahar haal sambhala tujko
Is kadar pyar se maa baap ne paala tujko
Rehmat e bala se kuchh kam nahi saya unka
Apne Maa Baap ka tu Dil na dukha dil na dukha
Tere maa baap ne kis pyar se paala tujko
Khud rahe bhukhe diya muh ka nivala tujko
Inki mutthi me hai nadan mukaddar tera
Apne Maa Baap ka tu Dil na dukha dil na dukha
Tere bete bhi Kama rotiya denge tujko
Ye Bhi teri hi tarha galiya denge tujko
Tu bhi hai sahib e aulad ye kyu bhul gaya
Apne Maa Baap ka tu Dil na dukha dil na dukha
Tunse achhi nahi dekhi koi surat keshar
Hai sarapa ye mohabbat hi mihabbat keshar
Kaam ati hai bhure vakt me unki hi dua