Arsh e aazam kyu na phade fhir khutba fazley rahma ka
Jannat ke sardaro se hai rishta fazley rahma ka
Jo bhi dil duniya me hua hai Saida fazley rahma ka
Usko dono deen mila hai saya fazley rahma ka
Elm mila hai enko babe sahre elm e aaqa se
Jao to Hasnain se pucho rutba fazley rahma ka
Fazlu Miya maroof o Ajju Yasir or naved sabhi
Deen ke raste par hai baccha baccha fazley rahma ka
Munkir thaa milaad ka lekin jab hai jalaye bujhte diye
Pal me hua hai dekh kar munkir Saida fazley rahma ka
Jalte ho to jalte raho tum ye to mahboob e rab hai
Dekhoge hasr me tum kya hai rutba fazley rahma ka
Uski kismat ayse chamki arsh ke taare hai ye shajar
Jisne bhi chuma hai yaaro talwa fazley rahma ka
Submit by Shajar Rahmani