Ata Ka Aisa Samandar Kaha Se Laoge
Mere Huzur Sa Behtar Kaha Se Laoge
Dare Rasool Ki Kherat Jisne Payi He
Fir Us Ke Jesa Sikandar Kaha Se Laoge
Jab Unke Paayen Muqaddas Ka Hi Jawab Nahi
Missake Ruhe Munawwar Kaha Se Laoge
Labo Pe Name Khuda Samne Rasoole Khuda
Bilal Jaisa Muqaddar Kaha Se Laoge
Jo Babe ilm Ho Moula Bhi Jamane Ka
Sivai Fateh Khebar Kaha Se Laoge
Hussain Bole Main Asgar Ko Run Me Laya Hu
Ab Iske Samne Lashkar Kaha Se Laoge
Chara To Sakte Ho Tum Ijtemam Deghe Par
Janabe Gaus Ka Langar Kaha Se Laoge
Zaban Se Apne Ko Khwaja Ke Misl Kehte Ho
Tum Ek Pyaale Me Sagar Kaha Se Laoge
Nabi Ko Chhod Ke Ae Munakiro Batalavo
Tum Apna Safa Ae Mehsar Kaha Se Laoge
Baho Se Dekhe Janaje He Apne Lekin
Javab Hazrat Akhtar Kaha Se Laoge
Hazaro Naat Ke Majmoo Ae Khol Kar Padh Lo
Raza Ke Jaisa Sukhandar Kaha Se Laoge
Yazizi Fauz To Mil Jayegi Kahi Na Kahi
Wo Karbala Ke Bahatar Kaha Se Laoge
Submit By Ataul Mustafa