bahar-e jaan(n) fiza tum ho, nasim-e gulsita(n) tum ho
bahar-e bagh-e rizwan tum se hai, zaibe jinan tum ho
khuda ki saltanut ka do-jahan main kaun dulha hai,
tumhee, tum ho, tumhee, tum ho, yahan tum ho, wahan tum ho
haqeeqat se tumhari juz khuda aur kaun waqif hai,
kahe tu kya kahe koyee, chuneen tum ho, chunaan tum ho
nazar ‘arif ka har ‘alam main aya aap ka ‘alam,
na hote tum tu kya hota, bahar har jahan tum ho
kuju hum khaak uftadah, kuja tum ae shah-e bala,
agar misl-e zamin hum hain, tu misl-e asman tum ho
main bhula aap kī rif’at se nisbat hee hamein kya hai,
woh kehne bhar kee nisbat thee, kahan hum hain, kahan tum ho
hamein umeed hai rauz-e qiyamat unkee rehmat se,
ke farmayein idhar a’ao na-mayus az-jinan tum ho
sitam karo, khata karo, siyah karo, jafa karo,
hamare daman-e rehmat main aa jaoo kahna tum ho
tumhare hote saate dard dukh kis se kahoon pyare,
shafī’e asiyan tum ho, waqīl-e mujriman tum ho
riyazat ke yahee din hain burhape main kahan himmat,
jo kuch karna hai abhi karlo, abhi noori jawan tum ho
faqat nisbat ka jaise hoon haqiqi noori ho jau,
mujhe jo dekhe keh uthe miyan noori, miyan tum ho