Bakht-E-Khufta Ne Mujhe Rauzay Pe Jaanay Na Diya
Chashm-O-Dil Seenay Kaleyje Se Laganay Na Dia
Aah! Qismat Mujhe Duniya Ke Ghamon Ne Roka
Haaye! Taqdeer Keh Taiba Mujhe Jaanay Na Dia
Itna Kamzor Kiya Zoa'afa E Quwa Ne Mujh Ko
Paanv To Paanv Mujhe Sarr Bhi Uthane Na Diya
Kabhi Beemar E Muhabbat Bhi Hue Hai Achhe
Roz Afzu(n) Hai Marz Kaam Dawa Ne Na Diya
Sharbat-E-Deedar Ne Aur Aag Lagadei Dil Mein
Tapish-E-Dil Ko Barhaya Hai Bujhanay Na Dia
Ab Kahan Jayega Naqsh Tera Mere Dil Se
Teh Mein Rakha Hai Issay Dil Ne Gumanay Na Dia
Mere A’mal Ka Badla Tou Jahannum Hee Tha
Mein Tou Jaata Mujhe Sarkar Ne Jaanay Na Dia
Nafs-E-Badkaar Ne Ne Dil Pe Ye Qiyamat Torri
Amal Naik Kia Bhi Tou Chupanay Na Dia
Aur Chamakti Sei Ghazal Koi Parho Aey Noori
Rung Apna Abhi Jamnay Sho’ra Ne Na Dia