Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya Naat Lyrics

Bandah milne ko qareeb-e-Hazrat-e-Qaadir gaya,
Lam’ah-e-baatin me gumne jalwah-e-zaahir gaya.

Teri marzi paa gaya sooraj phira ulte qadam,
Teri ungli uth gayi mah ka kaleja chir gaya.

Barh chali teri ziya andher aalam sey ghatta,
Khul gaya gesu tera rahmat ka baadal ghir gaya.

Bandh gayi teri hawa saa woh mein khaak urne lagi,
Barh chali teri ziyaa aatish pe paani phir gaya.

Teri rahmat sey Safi-ullah ka beraa paar tha,
Tere sadqe sey Naji-ullah ka bajraa tir gaya.

Teri aamad thi key Baitullah mujre ko jhuka,
Teri haibat thi key har but thar thara kar gir gaya.

Momin un ka kya hua Allah uska ho gaya,
Kaafir un sey kya phira Allah hi sey phir gaya.

Woh key us dar ka hua khalq-e-Khuda us ki hui,
Woh key us dar sey phira Allah hi sey phir gaya.

Mujh ko deewaana bataate ho main woh hushiyaar hoon,
Paaon jab tof-e-Haram me thak gaye sar phir gaya.

Rehmatul-lil-’aalameen aafat mein hoon kaisi karoon,
Mere Mawla main to is dil sey bala mein ghir gaya.

Mein tere haathon key sadqe kaisi kankariyan thee woh,
Jin sey itne kaafiron ka daf’atan munh phir gaya.

Kyoon janaab-e-Bu Hurairah tha woh kaisa jaam-e-sheer,
Jis sey sattar saahibon ka doodh sey munh phir gaya.

Waasta pyaare ka aisa ho key jo Sunni marre,
Yoon na farmaayein tere shaahid key woh faajir gaya.

Arsh par dhoomein machein woh momine saaleh mila,
Farsh sey maatam uthe wo tayyib-o-taahir gaya.

Allah Allah ye ‘uloo-e-khaas ‘abdiyat-RAZA,
Bandah milne ko qareeb-e-Hazrat-e-Qaadir gaya.

Thokarein khaate phiroge unke dar par par raho,
Qaafila to aay RAZA awwal gaya aakhir gaya.



Connect With us