Banke rahmat koi aata hai chala jata hai
Sabko daman me chupata hai chala jata hai
Paaw ruk jate hain sidra pe kisi ke jakar
Aur Koi aage badhata hai chala jata hai
Unki aankho se har ek ashk tapak ne wala
Nare dojakh ko bujhata hai chala jata hai
Ae shahenshah e madina ye mahina haj ka
Mujko har sal rulata he chala jata hai
Kahte rah jate the kuffar ali maula to
Aata hai sar ko Urata hai chala jata hai
Sakht pahre pe bhi abbas alamdaar-e-wafa
Pani chullu me uthata hai chala jata hai
Mera Sabir wo wali hai ke janaza apna
Aata hai khud hi padhata hai chala jata hai
Jab bhi ghabrau to aata he madine se karam
Mujhko sine se lagata hai chala jata hai
Hukame Khawaja ho to khadim bhi ana sagar ko..
Ek kaase me uthata hai chala jata hai
Ab Bhi Ajmer me Abdullha Bayabani hai
Raah bhatko dikhata hai chala jata hai
Name Makhdoom kichocha ka Asar kya kahena
Har Sahar maar Girata hai chala jata hai..
Ek Ye bhi to Karamat hai mere Ashraf ki
Larki Murat ko Banata hai chala jata hai
Yaad aata hai jaha karbobala Aye *Azhar*
Dil me ek dard jagata hai chala jata hai...
Lyrics: Azhar Farooqi Barelvi