Baroze hashr Jo hoga wo baat baaki hai
Shafa'aton ke liye unki zaat baaki hai
Hame wo dekhkar Mehshar me yun pukaarege
Wo kon log hai jinki najaat baaki hai
Shafa'aton ke liye unki zaat baaki hai
Nabi ki deed ki hasrat thi phir qaza ne kaha
Abhi hayat ke aage hayat baaki hai
Abhi bhi qabr me zindaa hai rehmat e aalam
Tabhi to Aaj talak Qayenat baaki hai
Ajeeb shaan ki wo sair e laa-makani thi
Wo jaake aa bhi gaye aur baat baaki hai
Dilon me aaj bhi zinda hai rooh e islami
Hamare qadmo me ab bhi se baat baaki hai
Yazeed mit gaya nasle bhi uski gayab hai
Abhi bhi uski yaha zaat paat baaki hai
Baroze hashr Muhammad ke khanda'n ke liye
Gawahi dene ko nehre furaak baaki hai
Ye sirf ahd-e-wafa ki imarate hai Noor
Abhi to Sher Sunayi hai naat baaki hai
Shafa'aton ke liye unki zaat baaki hai
Writer - Sayyed Muhammad noorani Miya Ashraf Ashrafiul jilani
Submit By Yasir Ashrafi