Beqaraari Thi Neend Aa Gayi Naat Lyrics

Beqaraari Thi Neend Aa Gayi
Lab Pe Jab Unka Naam Aa Gaya Aa Gaya
Zikr-E-Ahmad Sukoon Ke Liye Kis Tarah Mere Kaam Aa Gaya

Woh Shafi-O-Khaleel-O-Naji
Woh Zabeeh-O-Kaleem-O-Maseeh
Izhabu Keh Ke Sab Ne Kaha
Mujhko Chhodo Imaan Aa Gaya Aa Gaya

Farsh Waale Padhe Jhoom Kar
Arsh Waale Kahe Lab Ba Lab
Mustafa Jaane Rehmat Pe Jab
Momeenon Ka Salaam Aa Gaya Aa Gaya

Woh Mehek Woh Chamak Woh Damak
Jis Pe Qurbaan Ho Jinn-O-Malak
Aamina Kyun Balaayein Na Lein
Ghar Mein Husn-E-Tamaam Aa Gaya Aa Gaya

Jab Umar Ibne Khattab Ko
Noor-E-Wehdat Mila Aap Se
Do Jahaan Ki Mili Ne'amatein
Dil Mein Jab Ehtaraam Aa Gaya Aa Gaya

Woh Madine Se Phooti Kiran
Aayi Sanjar Se Ajmer Tak
Har Taraf Maikade Khul Gaye
Sab Ke Haathon Mein Jaam Aa Gaya Aa Gaya
Har Taraf Maikade Khul Gaye
Khaanqaahi Nizaam Aa Gaya Aa Gaya

"Noor" Mehshar Mein Uthe Iss Tarah
Bediyaan Ho Padi Paanw Mein
Aur Aaqa Kahe Chhod Do
Yeh To Mera Ghulaam Aa Gaya Aa Gaya

Kalam Written By
Shehzada E Gazi E Millat Allama Noorani Miya Ashrafi ul Jilani Damat Barkatuhu
( Kichochha Sharif)

Submit By Syed Muhammad Sirajuddin Al-Qadri



Connect With us