CHARAGAR HAI DIL TO GHAYAL ISHQ KI TALWAR KA ,
KYA KARU MAI LEKE FAHA MARHAM E ZANGAAR KA.....
HUSN KI BEPARDAGI PARDA HAI ANKHON KE LIYE ,
KHUD TAJALLI AAP HI PARDA HAI ROO E YAAR KA.....
HUSN TO BEPARDA HAI PARDA HAI APNI AANKH PAR ,
DIL KI ANKHON SE NAHI PARDA HAI ROO E YAAR KA.....
EK JHALAK KA DEKHNA ANKHON SE GO MUMKIN NAHI ,
PHIR BHI AALAM DIL SE TALIB HAI TERE DEEDAR KA.....
TERE BAGH E HUSN KI RAUNAQ KYA AALAM KAHU ,
AFTAB EK ZARD PATTA HAI TERE GULJAR KA ,
KAB CHAMKTA YE HILAL E ASMAN HAR MAAH YU ,
JO NA HOTA ISS PE PARTO AB ROO E SARKAR KA.....
JAAG UTHI HAI SOEE KISMAT AUR CHAMAK UTHA NASEEB ,
JAB ME TASAWOOR ME SAMAYA ROO E ANWAR AAPKA.....
HASARAT E DEEDAR DIL ME HAI AUR AANKHEN BEH CHALI ,
TU HI WAALI HAI KHUDAYA DEEDA E KHUBAAR KA.....
BHIK APNE MARHAM E DEEDAR KI DO ATA'A,
CHAHIYE KUCH MUH BHI KARNA ZAKHM E DAAMAN DAAR KA.....
JAB GIRA MAI BEKHUDI ME UNKE QADAMON PAR GIRA ,
KAAM TO MAINE KIYA ACCHE BHALE HOSHIYAR KA.....
AAB-LA-PA CHAL RAHA HAI BEHKUDI ME SAR KE BAL ,
KAAM DEEWANA BHI KARTA HAI KABHI HOSHIYAR KA.....
AABLO KE SAB KATORE AAHA KHALI HO GAYE ,
MUH ABHI TARR BHI NA HONE PAAYA THA HAR KHAAR KA.....
PAON ME CHUBHTE THE PEHLE AB TO DIL ME CHUBHTE HAI ,
YAAD AATA HAI MUJHE REH REH KE CHUBHNA KHAAR KA.....
KHAR E GUL SE DAHAR ME KOI CHAMAN KHALI NAHI ,
YE MADEENA HAI KE HAI GULSHAN GUL E BE KHAR KA.....
MARQAD E NOORIE PE ROSHAN HAI YE LAAL E SHAB CHIRAG ,
YA CHAMAKTA HAI SITARA AAP KI PAIZAR KA.....
CHARAGAR HAI DIL TO GHAYAL ISHQ KI TALWAR KA ,
KYA KARU MAI LEKE FAHA MARHAM E ZANGAAR KA.....