Dil Mera Duniya Pe Shaida Hogaya
Aye Mere Allah Yeh Kia Ho Gaya
Kuch Mere Bachne Ki Soorat Kijiye
Ab To Jo Hona Tha Maula Ho Gaya
Aib Posh-e-Khalq-e-Daaman Se Tere
Sab Gunah Garon Ka Parda Ho Gaya
Rakh Diya Jab usne Pathar per Kadam
Saaf Ek Aaina Paida Ho Gaya
Dur Ho Mujhse Jo Unse Dur Hai
Us pe main Sadqe Jo Unka Ho Gaya
Garmi Bajare Mola Badh Chali
Narkhe Rahmat Khub Suta Ho Gaya
Dekh Kar Unka Faroge Husne Pa
Mahar Jarrah Chand Tara Ho Gaya
Rab-e-Sallim Wo Idhar Kehne Lage
Us Taraf Paar Apna Bera Ho Gaya
Unke Jalwon Mein Hai Ye Dil Chaspiya
Jo wahan pahuncha wahi ka Ho Gaya
Tere Tukro Se Pale Dono Jaha
Sab Ka Us Darse Gujara Ho Gaya
Asalam ae sakinane ku ae dost
Ham Bhi Ate He Jo Ima Ho Gaya
Unke Sadke Mein Ajabo Se Chhute
Kam Apna Nam Unka Ho Gaya
Sar Wahi Jo Un Ke Kadamo Se Laga
Dil Wahi Jo Un Pe Seda Ho Gaya
Husne Yusuf Par Jhulekha Mit Gai
Aap Par Allah Pyara Ho Gaya
Gol Unke Aashiyo Ke Aaye Jab
Chhat Gai Sab Bhid Rasta Ho Gaya
Zahido Ki Khuld Par Kya Dhum Thi
Koi Jane Ghar Ye Unka Ho Gaya
Ja Pada Jo Dashte Tayba Me Hasan
Gulsane Janat Ghar Uska Ho Gaya