Dil Thikana Mere Hussain Ka Hai
Yeh Khazana Mere Hussain Ka Hai
Mustafa Ka Hua Hai Sajda Taweel
Kya Satana Mere Hussian Ka Hai
Masjid e Nabvi Mein Dauraan e Namaaz
Aana Jaana Mere Hussian Ka Hai
Jiski Aankhon Ne Rab Ko Dekha Hai
Ayesa Naana Mere Hussain Ka Hai
Tum Kaha Karte Ho Jise Kaafir
Wo Toh Dada Mere Hussain Ka Hai
Jis Ne Tukde Kiye Thay Marhab Ke
Ayesa Baba Mere Hussain Ka Hai
Chahe Aaye Yazeed Jaise Hazaar
Har Zamana Mere Hussain Ka Hai
Jisko Quraan Ne Sabse Aala Kaha
Wo Gharana Mere Hussain Ka Hai
Chaand Taaron Se Bhi Ziyada Haseen
Muskurana Mere Hussain Ka Hai
Sar Jhukate Hain Jibraeel Jahaan
Ashiyaana Mere Hussain Ka Hai
Aal e Imraan Kaha Gaya Hai Jise
Wo Gharana Mere Hussain Ka Hai
Karbala Bhi Toh Ek Arsh Hi Hai
Ye Thikana Mere Hussain Ka Hai
Apne Nana Ke Deen Ki Khatir
Sar Katana Mere Hussain Ka Hai
Dediya Khud Ko Bhi Khuda Ke Liye
Kya Lutana Mere Hussain Ka Hai
Bheek Lete Hain Awliya Bhi Jahan
Aastana Mere Hussain Ka Hai
Jis Jagah Na Gaya Koi Sabir
Aagey Jaana Mere Hussain Ka Hai
Wo Deewana Pasand Hai Sabir Ko
Jo Deewana Mere Hussain Ka Hai
Az-Qalam : Turaab e Raahguzar e Abu Turaab, Sayyad Khwaja Ali Akbar Rajuqattal al Hussaini Chishty
Submit By : Sayyad Sabir Hussaini Gulbarga