Dile Dard Mand Ki Dastan Na Kahu ju Tum se to kiya karu
Tum hi Ghamzadon ke ho Qadr dan na Kahu ju tum se to kiya karu
mere haal par bhi raham karo main kahon ju arz wo sun tu lo
mere baap maa se ho mehrban na Kahu jo tum se to kiya karu
Dame Nazaa aisi he bebasi nahi saat dete hawas bhi
Mujeh Chood jata he karwan na Kahu ju tum se to kiya karu
jo lahad me mujh se sawaal ho tum hi aake us ka jawab do
ye bahut hi saqt he imtehan na Kahu ju tum se to kiya karu
jo amir dekhe nabi idhar to kahu ye haton ko jod kar ke
tadapte dil ko main neem jaan na Kahu ju tum se to kiya karu