Do Jahaan Ke Waali Ka Do Jahaan Pe Saya He
Un Ko To Khuda Ne Un Ki Marzi Se Banaya He
Noori Noori Jalwe Hean Keise Pyaare Jalwe Hain
Chaand Un Ke Jalwon Ki Bheek Lene Aaya He
Waduha Ka Chehra Hea Taaha Ka Sehra He
Un Ke Muskurane Se Zamana Jagmagaya He
Toor Pe Kaha Rab Ne Lantarani Musa Ko
Lekin Mere Aaqa Ko Arsh Pe Bulaya He
Nabiyon Ne Salami Di Valiyon Ne Ghulami Ki
Sar Pe Un Ke Khaaliq Ne Taaj Wo Sajaya He
Lete Hean Dua'en Wo Karte Hean Jafa'en Wo
Seene Se Laga'en Uss Ko Jiss Ne Bhi Sitaya He
Barkaton Ke Rele Hean Nooyon Ke Mele Hain
Haleema Teri Kuttya Mean Koan Muskuraya He