(Zarron ko aasma ka muqaddar bana diya
Kanton ko chhu diya to gule tar bana diya)
Falak pe jannat hussain ki hai
Zamin pe qaba hussain ka hai
Jo saari ummat ki laaj rakh le
Wo ek sajda hussain ka hai
Habib-e-davar Shafi-e-Mahshar
Jo Hai Wo Nana Hussain Ka Hai
Hamari Bakhshish Zaroor Hogi
Hamen Bharosa Hussain Ka Hai
Wahi se jannat ki sarhaden hain
Jahan se maidan e karbala hai
Magar ye raste use pata hain
Jo dil se shaida hussain ka hai
Taharate jismon jaan ki khatir
Hazaron dariya rawa.n hain lekin
Taharaten jisme gusl kar len
Wo paak dariya hussain ka hai
Naat Khwan: Shakil Arfi
ज़र्रों को आस्मां का मुक़द्दर बना दिया
कांटों को छू दिया तो गुले तर बना दिया
फ़लक पे जन्नत हुसैन की है
ज़मीं पे काबा हुसैन का है
जो सारी उम्मत की लाज रख ले
वो एक सजदा हुसैन का है
हबीब ए दाबर शफ़ी ए महशर
जो है वो नाना हुसैन का है
हमारी बख़्शिश ज़रूर होगी
हमें भरोसा हुसैन का है
वहीं से जन्नत की सरहदें हैं
जहाँ से मैदाने कर्बला है
मगर ये रस्ते उसे पता हैं
जो दिल से शैदा हुसैन का है
तहारते जिस्मों जां की खातिर
हज़ारों दरिया रवां हैं लेकिन
तहारतें जिसमें गुस्ल कर लें
वो पाक दरिया हुसैन का है