Guzre jis raah sey wo sayyid-e-waala ho kar,
Reh gayi saari zameen anbar-e-saara ho kar.
Rukh-e-anwar ki tajjali jo qamar ne dekhi,
Reh gaya bosah dah-e-naqsh-e-kaf-e-paa ho kar.
Waaye mehroomi-e-qismat key main phir ab ki baras,
Reh gaya hamrah-e-zawwaar-e-Madinah ho kar.
Chaman-e-Taiba hay wo baagh key murgh-e-sidrah,
Barson chehke hain jahan bulbul-e-shaida ho kar.
Sar-sar-e-dasht-e-Madinah ka magar aaya khyaal,
Rashk-e-gulshan jo bana ghuncha-e-dil waa ho kar.
Gosh-e-sheh kehte hain faryaad rasi ko ham mein,
Wada-e-chashm hay bakhshaain ge goyaa ho kar.
Paaye sheh par gire Yaa Rab tapish-e-meher sey jab,
Dil-e-betaab ure hashr mein paara ho kar.
Hay yeh ummeed RAZA ko teri rahmat sey shahaa,
Na ho zandaani-e-dozakh tera bandah ho kar.