Ham dar-e-Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) pay sar apna jhuka letay hain
Sach bataana array duniya tera kya letay hain
Uss ko aankho pay bithaatay hain
zamaane waalay Jiss ko Mehboob e-KHUDA apna bana letay hain
Waqt ki kaif nahee hay ye karam ki baatein
Jab bhi Sarkaar ki marzi ho bula letay hain
Gham kay maarou ka tabeebo na karo koi elaag
Ham gham e Ishq-e-Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)may bhi maza letay hain
Patharou tum tou ho pathar magar Aaqa meray
Tum say gar chaheu tou kalma bhi parha letay hain
Jab nahi milti kahee say bhi sukooun ki daulat
Teri mehfil Teray dewaanay saja letay hain
Ye bhi Sarkaar ki rehmat hay karam hay unka
Ham jahaa jaey wahaa rang jamaa letay hain
Gumbad-e-Khazra KHUDA tujh ko salaamat rakhay (Aameen)
Dekh letay hain Tujhay pyaas bujha letay hain
Submit By Yunas Gafur