Har Maraz Ka Utar gaya pani
Maine Zam Zam Ka jab Piya Paani
Dekh Kar Husne Mustafai Ko
Chaand Ke Mun Main Agaya Paani
Chaand Talwe Ko Choom Kar Bola
Husn Ka Mujh Pe Charhgaya Paani
Hath utthe the Mere Aaqa ke
Kis tarha baat kat'ta pani
Mustafa ke labon ka hilna tha
Badalon se baras pada pani
Nanhe Asghar Ki Piyaas Ke Sadqe
Saari Duniya Ko Mil Gaya Ko Mil Gaya Paani
Jo Bhi Dushman Hai Alaa Hazrat Ka
Alaa Hazrat Ka Jo bhi Dushman Hai
Daal Do Us Pe Kholta Paani
Mere Hashmat Ka Jo Bhi Dushman Hai
Daal Do Us Pe Kholta Paani
Mere Shabbir chah lete to
Ek thokar se fut'ta pani
Mere Khwaja ka hukm sunte hi
Ek Kase mein aa gaya pani
Ke Aya Jab Ek Masla Aisa
Hai Bhala Kon Aur Bura Paani
Doodh Ka Doodh Alaa Hazrat Ne
Aur Paani Ka Kardia Paani
Dekhte Hi Humaare Akhtar Ko
Nadiyon Ka Utargaya Paani
Ke Aye Dekhiye Breli Main Main
Is Ko Khete Hain Bolta Paani
Hai Ye sach sab Khuda Ki Naimat Hai
Rang khushbo Ghata Hawa Paani
Aye Asad sab Khuda ki ne'mat hai
Rang Khushbu ghata hawa pani