Hashr mein fir milenge mere doston
Bas yahi hai makam aakhari aakhari
Kehna sab jiteji ke hein shikwe gile
Aaj se khatm duniya ke sab silsile
Sham'a dhalne ko hai dam nikalne ko hai
Ab hai kissa tamam akhari akhari
Hashr mein fir milenge mere doston
Mujko nehla ke pehna diye hein kafan
Ro chuke milke maa baap bhai bahen
Maut bhi doston aaj hairat mein hai
Ab hai kissa tamam akhari akhari
Hashr mein fir milenge mere doston
Khushbuon mein kafan ko basane lage
Meri mayyat ko dulhan ko banane lage
Doston ab uthao janaza mera
Ho chuka intezam akhari akhari
Hashr mein fir milenge mere doston
Mujko zere zameen yaar dafna gaye
Kis kadar sang dil hoke farma gaye
Doston chain ki nind sote raho
Bas yahi hai makam akhari akhari
Hashr mein fir milenge mere doston
Kesi duniya hai Khurshid gazab re gazab
Chand dinon mein yaha bhul jaate hein sab
Jis bahane meri yaad aajaye to
Padne laga ye kalam akhari akhari
Hashr mein fir milenge mere doston
Zindagi ne jahan tak wafa ki rahi
Chal diye ab salam akhari akhari
Hashr mein fir milenge mere doston
Submit By syed khaja rasheed uddin