Hum ko bulana Ya Rasulallah
Hum ko bulana Ya Habiballah
Kabhi to sabz gumbad ka ujaala hum bhi dekhenge
Hum-e bulwayenge aaqa Madinah hum bhi dekhenge
Dharak uthe ga dil ya dharakna bhool jayega
Dil-e-bismil ka uss dar per tamasha hum bhi dekhenge
Adab se haath baandhe unke roze par khare hoonge
Sunehri jaliyon ka youn nazara hum bhi dekhenge
Barasti gumbad-e-khizra se takrati huwi bundhe
Wahan par shan se baarish barasna hum bhi dekhenge
Dar-e-dawlat se lawtaya nahin jaata koi khaali
Wahan khayrat ka batna khudaya hum bhi dekhenge
Guzare raat din apne issi umeed par humne
Kissi din to jamal-e-ru e zeba hum bhi dekhenge
Dum-e-rukhsat qadam man bharke hain mehsoos karte he
Kisse he jaake lawt aane ka yaara hum bhi dekhenge
Pohonch jayenge jiss din e ujaagar unke qadmon me
Kisse kehte hain jannat ka nazara hum bhi dekhenge