Hum ko Sarkar Madine me Bulaana Hoga
Dard Mando Ko Bhi Seene Lagaana Hoga
Jo Tadaptein Hain Gareebi me Huzoori ko Huzoor
Paas Unko Bhi Tumhe Apne Bulaana Hoga
Hum ne Sarkar SallAllahu Alaihi Wasallam ki Mehfil ko Sajaana Hoga
Dekhna Phir Mere Sarkar SallAllahu Alaihi Wasallam ka Aana Hoga
Naat Likhta hi Rahun Naat Main Padhta hi Rahun
Khud hi Bas Mere Jaane Ka Thikaana Hoga
Main to Unka Hun Gadaa Qabr me Bhi Keh Duga
Naar e Dozakh se Ye Bachne ka Bahaana Hoga
Tu Kyun Ghabraaye Bhalaa Unka SanaKhwaan Ho Kar
Hashr Tak Saath Tere Tera Hi Aaqa Hoga
Aaj Qadmon me Beetha Kar Mujhe Izzat Bakhshi
Baad Marne k Bhi Qadmon me Sulaana Hoga
Tu Kyun Ghabraaye Bhalaa Aaley Mohammed Ho Kar
Hashr Tak Saath Tere Tera hi Nana Hoga
Eid e Milad ka Sadqa Humein Eidi De do
Aaj Hum Sab pe Bhi Eidi ko Lutaana Hoga
Do Ijaazat Mujhe Bhi Laut k Aane ki Shahaa
Phir Mujhe Jald hi Qadmon me Bulaana Hoga
Waasta Zehra o Hasnain o Ali Ka Tum ko
Ranj o Gam Dard o Alam Sab k Meetaana Hoga
Sayyed e Khastaa ki Hai Aarzu Itni Aaqa
Waqt e Rukhsat Bhi Tumhe Jalwa Dikhaana Hoga