Huzoor E Kaaba Hazir Hain, Haram Ki Khaak Par Sarr Hai
Huzoor E Kaaba Hazir Hain, Haram Ki Khaak Par Sarr Hai
Badi Sarkaar Mein Pohnche, Muqaddar Yaawari Par Hai
Badi Sarkaar Mein Pohnche,
Na Hum Aane Ke Qaabil The, Na Muh Laaiq Dikhane Ke
Magar Tera Karam Banda Nawaz O Banda Parwar Hai
Badi Sarkaar Mein Pohnche,
Jo Haibat Se Ruke Mujrimm, Tou Rehmat Ne Kaha Baddhkar
Chale Aao Chale Aao Ye Ghar Rahmaan Ka Ghar Hai
Badi Sarkaar Mein Pohnche,
Ye Zammzamm Iss Liye Hai, Jiss Liye Iss Ko Piye Koi
Issi Zammzamm Mein Jannat Hai, Issi Zammzamm Mein Kausar Hai
Badi Sarkaar Mein Pohnche,
Huwa Hai Peer Ka Hajj Peer Ne Jinse Sharaf Paaya
Unhi Ke Sadqe Mein Din Jumma Ka Har Dinn Se Behtar Hai
Badi Sarkaar Mein Pohnche,
Naahin Kuch Jumma Par Mauquff Afzano Karam Unke
Jo Wo Maqbool Formale Tou Harr Hajj Hajj E Akbar Hai
Badi Sarkaar Mein Pohnche,
Hassan Hajj Karliya, Kaabe Se Aankhoun Ne Ziya Paayi
Chaalo Dekhe Wo Basti Jiss Ka Rasta Dill Ke Andar Hai