Ishq-e-Mawla mein hoon khoon baar kinaar-e-daaman Naat Lyrics

Ishq-e-Mawla mein hoon khoon baar kinaar-e-daaman,
Yaa Khuda jald kahein aaye bahaar-e-daaman.

Beh chali aankh bhi ashkon ki tarah daaman par,
Key nahin taar nazar juz do seh taar-e-daaman.

Ashk barsaaon chale koocha-e-jaanan sey naseem,
Yaa Khuda jald kahin nikle bukhaar-e-daaman.

Dil shudon ka yeh hua daaman-e-athar pe hujoom,
Be dil aabaad hua naam dayaar-e-daaman.

Mushk saa zulf sheh-o-noor fashan rooye Huzoor,
Allah Allah halb-e-jeeb-o-tataar-e-daaman.

Tujh sey aaygul main seetam,deedah-e-dasht-e-harmaan.
Khalash dil ki kahoon ya Gham-e-khaar-e-daaman.

Aks afgan hay hilaal-e-lab-e-sheh jeeb nahin,
Mehr aariz ki shuaaein hain na taar-e-daaman.

Ashk kehte hain yeh shaidayi ki aankhein dho kar,
Aayadab gard-e-nazar ho na ghubaar-e-daaman.

Aay RAZA aah wo bulbul key nazar mein jis ki,
Jalwa-e-jeeb gul aaye na bahaar-e-daaman.



Connect With us