इतना काफ़ी है ज़िंदगी के लिए
रख लें आक़ा जो नौकरी के लिए
माह-ओ-ख़ुर्शीद उन की चौखट पर
रोज़ आते हैं रौशनी के लिए
चाँद-तारे भी उन के क़दमों में
रोज़ आते हैं रौशनी के लिए
दोनों 'आलम बनाए मौला ने
या नबी ! सिर्फ़ आप ही के लिए
तक के उन को अय्यूब के घर में
महल तरसे हैं झोंपड़ी के लिए
आ गए क़ब्र में भी छुड़वाने
दर्द कितना है उम्मती के लिए
लंबे सज्दे किये नबी ने, कहा
ऐ नवासे ! तेरी ख़ुशी के लिए
दीद माँगी है उन की, ऐ हाकिम !
मैं ने बस वक़्त-ए-आख़री के लिए
=========================
Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh le aaqa jo naukari ke liye
Maah-o-Khurshid un ki chaukhat par
Roz aate hai raushani ke liye
Chaand-taare bhi un ke qadmo me
Roz aate hain raushani ke liye
Dono 'aalam banaae maula ne
ya nabi ! sirf aap hi ke liye
Tak ke un ko ayyub ke ghar me
Mahal tarse hain jhonpdi ke liye
Aa gae qabr me bhi chhudwaane
Dard kitna hai ummati ke liye
Lambe sajde kiye nabi ne, kaha
Ai nawaase ! teri Khushi ke liye
Deed maangi hai un ki, Ae Haakim !
Main ne bas waqt-e-aakhri ke liye
Submit By Muhammad Zakir Raza Asjadi