Jaan E Man Jaan E Zamana Sayyedi Akhtar Raza
Dil He Mai Rehna Na Jana Sayyedi Akhtar Raza
Dil Mai Hai Tasweer Teri Jab Mai Chahuñ Dekh luñ
Bas Mujhe Sar Hai Jhukana Sayyedi Akhtar Raza
Mai Ye Kaise Maan luñ Ke Aap Dunya Se Gaye
Aap Hai Maine Ye Maana Sayyedi Akhtar Raza
Jhoom Kar Nasleñ Hamari Ye Kaheñgi Fakhr Se
Aap ka Paaya Zamana Sayyedi Akhtar Raza
Ek Naya Fitna Uthaa Hai Saaqib E Shaami Ka
Ab Ho Nazar Ek Naa-Sihana Sayyedi Akhtar Raza
Aalahazrat Mufti E Aazam Thai Phir Akhtar Raza
Ab Hai Asjad Ka Zamaana Sayyedi Akhtar Raza
Asjad E Millat Humaare Qaaid E Ahle Sunan
Markazi Tera Gharaana Sayyedi Akhtar Raza
Aap Hai Aur Aap He Ke Baad Hussam O Humaam
Aap He Ne Ye Kaha Na Sayyedi Akhtar Raza
Jab Parhi Naateiñ Wasi Ne Aapne Ki Hai
Dua Ho Qubool Ab Ye Sunaana Sayyedi Akhtar Raza
Submit By Muhammad Usman Gani Razvi