Jalwa Hai Noor Hai Ke Sarapa Raza Ka Hai
Tasweer-e-Sunniyat Hai Ke Chehra Raza Ka Hai
Wadi Raza Ki Koh Hai Himala Raza Ka Hai
Jis Samt Dekhiye Who ilaqa Raza Ka Hai
Dastaar Arahi Hai Zameen Par Jo Sar Uthe
Itna Buland Aaj Harayra Raza Ka Hai
Kis Ki Majaal Hai Jo Nazar Bhi Mila Sakay
Darbar-e-Mustafa sallallahu alaihe wasallam Mein Thikana Raza Ka Hai
Alfaz Beh Rahay Hain Daleelon Ki Dhaar Par
Chalta Hua Qalam Hai Ke Dhara Raza Ka Hai
Choota Hai Asman Ko Minaar Azm Ka
Yaani Atal Pahad Irada Raza Ka Hai
Nuktay Ibaratoun Se Ubhartay Hai Khud Ba Khud
Nakhdo Nazar Pe Aisa Ijara Raza Ka Hai
Darya Fasahatoun Ke Rawan Shayri Mein Hai
Yeh Sehl-e-Mumtanay Hai Ke Lehja Raza Ka Hai
Jo Likh Diya Hai Usne Sanad Hai Deen Woh Deen Mein
Ahle Qalam Ki Abru Nukhta Raza Ka Hai
Agloun Ne Agla Bhi Likha Bohat Ilm-e-Deen Par
Par Jo Kuch Hai Is Sadi Mein Woh Tanha Raza Ka Hai
Is Dour-e-Pur Fitan Nazar Khush Aqeedgi
Sarkar sallallahu alaihe wasallam Ka Karam Hai Waseela Raza Ka Hai