#Manqabat-e-Ghausul-Wara
Jau(N) Dar-e-Ghausul-Wara Manzil To Wohi Hai
Dekhu(N) Shahar-e-Jeelan Har Mehfil To Wohi Hai
Sunau(N) Dil Ki Baate(N) Unko Kaamil To Wohi Hai
Pukaru(N) Pukaru(N) Ya Ghaus Qaabil To Wohi Hai
Madad Ko Aate Hai Wohi Wo Mere Dastageer
Wo Ibne-Mushkil Kusha Mushtaqil To Wohi Hai
Jo Unke Naam Se Hai Mehrum Zaahil To Wohi Hai
Yaad Na Karu(N) Unko Gar Ghafil To Yahi Hai
Meri Auqat Hai Kiya Jo Unse Da’wa-e-Ishq Karu(N)
Wo Hame Chahte Hai(N) Ahl-e-Dil To Wohi Hai
Wo Dikhate Hai(N) Murido(N) Ko Apni Jamal-e-Haq
Ata Ho Hum Murido(N) Ko Bhi Haasil To Wohi Hai
Tu Apne Fazal Se Kar Mujhe Ata Ya Ghaus
Badan-o-Dil Hai Giraftar-e-Nafs Qaahil To Yahi Hai
Ya Sarkar Mujhe Koi Aisi Amal Ki Taufeeq Ata Ho
Bas Kabhi Hasad Na Aaye Dil Me Aamil To Yahi Hai
Aql Wale Hai Bahut Magar Aql-e-Jalil-o-Khawar Ya Ghaus
Jeeu(N) Ishq-e-Nabi Me Aaqil To Yahi Hai
Jalke Khaaq Ho Najdi-Raafzi Bugz-e-Ghaus
Tujhse Achcha Hai Ghair Qaay’il To Wohi Hai
Ab Khushya(N) Mana(O) Jhoomo Aye Tufaili
Karam Unka Ab Tere Dil Me Shaamil To Wohi Hai
Submit bY Ghulam Jeelani Razvi Tufaili