Kaabe ke dar ke saamne maangi hai dua faqat
Haathon mein hashar tak rahe daaman-e-Mustafa faqat
Apne karam se e Khuda ishq-e-Rasul kar ataa
Aakhiri dam zubaan pe ho Salle Ala sadaa faqat
Tayba ki serr ko chaley qadmon mein unki jaan dein
Duffan huun unke shehr mein hai yehi iltija faqat
Duniya ki saari ni’matain meri nazar mein hench huun
Rakhne ko sar pe gar mile naalain-e-Mustafa faqat
Munkar Naqeer qabar mein ham se sawaal jab karain
Aise mein wird ham rakkhain aap ke naam ka faqat
Naza'a ke waqt jab meri saanson mein intishaar ho
Meri nazar ke saamne Gumbad ho woh hara faqat
Naat-e-Rasul-e-paak hai nazmi ka maqsad-e-hayaat
Qabr mein bhi labon pe ho Sarkaar ki sana faqat