Kaam Rukne Ka Nahi Aye Dile Nada Koi
Parda e Gaib Se Ho Jayega Sama'n Koi
Arz Unse Kare Dil Ka Mere Arma'n Koi
Phir Madeene Me Mile Hum Ko Bhi Ramza’n Koi
Saare Nabiyo Ki Badi Azmato Rifat Hai Magar
Na Bana Unke Siwa Arsh Ka Mehma’n Koi
Baare Isiya Ke Sabab Ho Gaya Halka Palla
Bakhshwaya Mujhe Aakar Sare Meezaa’n Koi
Dare Jana Ki Huzoori Jo Moyassar Ho Mujhe
Fir Na Baqi Rahe Dil Me Mere Arma'n Koi
Ham Bhi Ek Roz Madine Me Pahonch Jayenge
Aapna Bhi Gaib Se Ho Jayega Sama'n Koi
Meri Kashti Ke Nigeh Baan Hai Ghaus e Aazam
Aazma Le Meri Kashti Kabhi Tufaa’n Koi
Khwaja e Hind Ke Darbar Ki Hai Baat Badhi
Kabhi Mayus Nahi Lauta Paresha'n Koi
Lakh Qanoon Bana Lo Aye Siyasat Dano
Hind Se Jayega Har Giz Na Musalma’n Koi
Baaghe Hassan Ke Phoolo Ki Mahek Aati Hai
Aalahazrat Ka Padhe Naatiya Deewa’n Koi
Faize Hassa’n Ne Banaya Unhe Hassanul Hind
Na Zamane Me Mila Unsa Ghazal Khwa’n Koi
Ishqe Sarwar Ki Badaulat Mila Unko Ye Laqab
Hind Ka Kaise Bane Doosra Hassa’n Koi
Azmate Mufti e Aazam To Badi Baat Rahi
Misle Akhtar Hi Dikha Aye Mahe Taaba'n Koi
Par Tawe Taaje Shariyat Hain Qaid e Millat
Na Mila Unsa Kahi Humko Nigehba’n Koi
Baghe Akhtar Ke Hai Do Phool Husaam o Humam
Dekha Hai Aur Kahi Ayesa Gulista’n Koi
Taabe Hussam O Humam Aur Badhe Yu Hi Sada
Inme Ek Dil Hai Koi Aur Meri Jaa’n Koi
Tujh Pe Faizan Hai Murshid Ka Zaheere Razvi
Warna Tujh Jaisa Nahi Hoga Paresha'n Koi
Submit By Muhammad Zaheer Razvi