Kab Pahuchu(N) Dar-e-Ghausul Wara Manzil To Wohi Hai (Manqabate Huzur Ghaus-e-Azam )
-:Eid-e-Ghaushiya Mubarak Ho:-
01)
Kab Pahuchu(N) Dar-e-Ghausul Wara Manzil To Wohi Hai
Kab Dekhu(N) Shahar-e-Jeelan Har Mehfil To Wohi Hai
02)
Sunau(N) Apni Dard-e-Dil Unko Kaamil To Wohi Hai
Pukaru(N) Har Dum Yaa Ghaus Qaabil To Wohi Hai
03)
Meri Mushkil Yu(N) Aasan Mushkil Khud Bla Ho Jati Hai
Wo Hamare Mushkil Kusha Mushtaqil To Wohi Hai
04)
Naam-e-AbdulQadir Dil Me Hai Zaruri Gar Na Ho Aisa,
Beshaq Zikr-e-Nabi-o-Khuda Se Ghafil To Wahi Hai
05)
Meri Mazaal Hai Kiya Jo Unse Da’wa-e-Ishq Karu(N)
Wo Hame Chahte Hai(N) Markaz-e-Ahl-e-Dil To Wohi Hai
06)
Jo Bhi Samander Uble Hai(N) Jamane Bhar Me
Wo Nahar-e-Ghaus Ka Ek Qatra Saahil To Wohi Hai
07)
Tasawwuf-o-Tasarruf-o-Shariat K Hai Woh Shahanshah
Woh Daftar-e-Ghaus Ka Ek Dars Naaqil To Sabhi Hai
08)
Mere Kirdar Me Kuch Aisa Kar Yaa Shah-e-Jeelan
Hamesha Daru(N) Khauf-e-Khuda Se Aamil To Yahi Hai
09)
Ahle-Marifat-o-Tariqat Sabh Chal Diye Janib-e-Baghdad
Yeh Chishti-Sowharwardi-Naqshbandi Maiy'l To Sabhi Hai
10)
Chadh Gaya Hai Mujh Par Rang-e-Barkaati Razvi Noori
Main Maru(N)-Jiu(N) Qadiri Mustaqbil To Wahi Hai
11)
Tu Rizq-o-ilm De Mujhe Ya Mahboob-e-Subhani
Hamare Nabi-e-Paak Hai Qasim Moosil To Tu Hi Hai
12)
Maan Gaye Hai(N) Sabhi Shaan-e-Hazart-e-Mohiuddin
Ek Najdi-Raafzi Chhod Kar Unke Qaayil To Sabhi Hai
13)
Na Chedo Ay Mukhalif Hame Yeh Daman-e-Ghaus Hai
Nadan Bas Intna Sunle Koi Unke Muqabil To Nahi Hai
14)
Kaha(N) Kaha(N) Nahi Hai Unka Charcha Hai Sare Alam Me
Jo Unke Naam Se Hai Mehroom Zaahil To Wahi Hai
15)
Tu Anpe Diwano Ko Dekhate Hai(N) Apni Jamal-e-Haq
Ya Ghaus Hum Gharibo(N) Ko Bhi Haasil To Yahi Hai
16)
Tu Apne Fazal Se Kar Mujhe Ata Ya Pir-e-Pira(N)
Hame Giraftaar-e-Nafs Se Chooda,Wasil To Tu Hi Hai
17)
Ab Jhoomo Ay Tufaili Nazar Tumpar Ho Hi Gaya
Karam Hai UnHi Ka Tere Dil Me Shamil To Wohi Hai
Submit By :Ghulam Jeelani Razvi Tufaili