Khayal Aata Hai Dil Mein Yeh Gar Huwa Hota
Unhi Ke Daur Me Maine Janam Liya Hota
Woh Chalte Aage Mere Shaan e Dil Rubayi Se
Mai Peeche Unki Sawari Ke Daudhta Hota
Unhi Ke Daur Me Maine Janam Liya Hota
Khayal Aata Hai Dil Me Yeh Gar Hua Hota
Unhi Ke Daur Me Maine Janam Liya Hota
Mere Bhi Sar Pe Tasalli Ka Haath Rakhte Woh
Yateem Ger Mai Ussi Daur e Paak Ka Hota
Unhi Ke Daur Me Maine Janam Liya Hota
Khayal Aata Hai Dil Mein Yeh Ger Huwa Hota
Unhi Ke Daur Mein Maine Janam Liya Hota
Woh Leke Jaate Mujhe Roaz Kaash Sehra Me
Halima Daayi Ki Bakri Hi Bangaya Hota
Unhi Ke Daur Me Maine Janam Liya Hota
Khayaal Aata Hai Dil Me Yeh Gar Huwa Hota
Unhi Ke Daur Mein Maine Janam Liya Hota
Mujhe Bhi Aisi Namazon Ka Ger Sharaf Milta
Mai Unke Ruh e Munawwar Ko Tak Raha Hota
Unhi Ke Daur Me Maine Janam Liya Hota
Khayal Aata Hai Dil Mein Yeh Gar Huwa Hota
Unhi Ke Daur Me Maine Janam Liya Hota
Woh Aake Mere Janaaze Pe Jab Khade Hote
Kafan Hata Ke Mai Unko Hi Tak Raha Hota
Unhi Ke Daur Me Maine Janam Liya Hota
Khayal Aata Hai Dil Mein Yeh Gar Huwa Hota
Unhi Ke Daur Me Maine Janam Liya Hota
Amin e Khashta Ka Uthta Janaaza Taiba Me
Muraad Apni Bichara Yeh Paa Gaya Hota
Unhi Ke Daur Me Maine Janam Liya Hota
Khayal Aata Hai Dil Me Yeh Gar Huwa Hota
Unhi Ke Daur Me Maine Janam Liya Hota
Written By Sayyed Aminul Qadri (Muballige Sunni Dawate Islami)