Kiskay Jalwo Ki Jhalak Hai Ye Ujala Kiya Hai
Har Taraf Wiada Hairat Zada Tak Ta Kita Hai
Mange Man Manti Munh Mangi Murade Le Ga
Na Yaha Na Hai Na Mangta Se Ye Kahna Kiya Hai
Hum Hai Unke Wo Hai Tere To Huve Hum Tere
Is Se Badkar Teri Samt Aur Wasila Kiya Hai
Un Ki Ummat Me Banaya Unhe Rahmat Bheja
Yu Na Farma Ke Tera Raham Me Dawa Kiya Hai
Sadqa Pyare Ki Haya Na La Mujhse Hisab
Baqsh Be Puche Lajaye Ko Laja Na Kiya Hai
Zahad Un Ka Mai Gunahgaar Wo Mere Shafi
Itni Nisbat Mujhe Kiya Kam Hai Tu Samjha Kiya Hai
Bebasi Ho Jo Mujhe Pusishe Aamal Ke Waqt
Dosto Kiya Kahu Us Waqt Tamanna Kiya Hai
Kash Fariyad Meri Sunakr Ye Farmaye Huzoor
Haan Koi Dekho Ye Kiya Shor Hai Ghogha Kiya Hai
Kon Aafat Zada Hai Kis Pe Bala Tuti Hai
Kis Musibat Me Giraftar Hai Sadma Kiya Hai
Kis Se Kahta Hai Ke Lillah Qabar Lijiye Meri
Kiyu Hai Betab Ye Be Chaini Ka Rona Kiya Hai
Is Ki Bechaini Se Hai Qatir-E-Aqdas Pe Malal
Be Kasi Kaisi Hai Pucho Koi Guzra Kiya Hai
Yu Malaik Kare Maaroz Ke Aqa Ek Mujrim Hai
Is Se Pusish Hai Bata Tune Kiya Kiya Kiya Hai
Samna Qahar Ka Hai Daftar-E-Aamal Hai Pesh
Daar Raha Hai Ke Khuda Hukm Sunata Kiya Hai
Aap Se Karta Hai Fariyad Ke Ya Sha-E-Rasool
Banda Bekas Hai Shaha Raham Me Waqfa Kiya Hai
Ab Koi Dam Me Giraftare Bala Hota Ho
Aap Aajaye Aaqa Kiya Qouf Hai Khatka Kiya Hai
Sun Ke Ye Aarz Meri Bahre Karam Josh Me Aai
Yu Malaik Ko Ho Irshad Taharna Kiya Hai
Kis Ko Tum Muride Aafat Kiya Chahte Ho
Hum Bhi To Aake Zara Dekhe Tamasha Kiya Hai
Un Ki Aawaz Pe Kar Uthu Mai Be Saqta Shour
Aur Tadap Kar Kahu Ab Mujhe Parwa Kiya Hai
Lo Wo Aaya Mera Haami Lo Wo Aaya Mera Haami...Mera Ghaar-E-Umam
Aagayi Jaan Tane Be Jaan Me Ye Aana Kiya Hai
Phir Mujhe Daman-E-Aqdas Me Chupale Sarwar
Aur Farmaye Hato Is Pe Taqaza Kiya Hai
Banda Aazad Shuda Hai Ye Hamare Dar Ka
Kaisa Lete Ho Hisab Is Pe Tumhara Kiya Hai
Chod Kar Mujh Ko Farishte Kahe Mahkum Hai Hum
Hukm Wala Ki Na Taalim Ho Zuhra Kiya Hai
Ye Sama Dekh Ke Mahshar Me Uthe Shour Ke Wah!!
Chashm-E-Badur Ho Kiya Shaan Hai Rutba Kiya Hai
Sadqe Us Rahim Ke Is Saye Daman Pe Nisar
Apne Bande Ko Musibat Se Bachaya Kiya Hai
Aai Raza Jan-E-Ana Dil Tere Naamo Ke Nisar
Bul Bule Baghe-E-Madina Tera Kahna Kiya Hai.