Kya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti, Mere Aqa Ne Izzat Bachali
Farde Isiyan Meri Mujh Se Le Kar, Kali Kamli Mein Apni Chupali
Woh Aata Par Ata Karne Wale, Aur Ham Bhi Nahin Talne Wale
Jaisi Deodi He Waise Bhikari, Jaisa Data Hein Waise Sawali
Mein Ghada Hoon Magar Kis Ke Dar Ka, Woh Jo Sultan-E-Kono Makan Hein
Yeh Ghulami Bari Mustanad He, Mere Sar Par He Taj-E-Bilali
Mein Madine Se Kya Agaya Hun, Zindagi Jaise Bujh Si Gayi Hai
Ghar Ke Andar Faza Soni Soni, Ghar Key Bahar Sama Khali Khali
Meri Umr-E-Rawan Bas Thehar Jaa, Ab Safar Ki Zuroorat Nahin Hai
Unke Qadmon Mein Meri Jabeen Hai, Aur Haathon Mein Roze Ki Jali
Mein Faqat Naam Lewa Hun Unka, Unki Tawseef Mein Kya Karoonga
Mein Na Iqbal, Khusro Na Saadi, Mein Na Qudsi Na Jami Na Hali