Lab-e-kausar hai melaa tishnaah kaamaan-e-mohabbat ka
Woh ubla dast-e-saaqi se woh ubla chashmah sharbat ka
Ye ‘aalam Ambiyaa par Un ke Sarwar ki ‘Inayat ka
Jisey dekho liye jaata hai parwaanah shafa’at ka
Pilaa dey apni nazroN se chalakta jaam ruyat ka
Shah-e-kausar tarahem tishnah jaata hay zyarat ka
Wahi jo rahmatul-lil-’aalameeN haiN jaan-e-’aalam haiN
BaRa bhai kahe un ko koi andha baseerat ka
Mah-o-khursheed-o-anjum meiN chamak apni nahiN kuch bhi
Ujaala hai haqiqat meiN unhiN ki paak tal’at ka
Bhatakta yuN phire kab tak tumhara AKHTAR-e-khasta
Dikha do raastah is ko khudaara shahr-e-ulfat ka