Lahad mein ishq-e-rukh-e-shah kaa daagh ley key chale,
Andheri raat suni thi charaagh ley key chale.
Tere gulaamon ka naqsh-e-qadam hay raah-e-Khuda,
Woh kyaa behek sakey jo yeh suraagh ley key chale.
Jinaan banegi muhibbaan-e-chaar yaar ki qabr,
Jo apne seene mein ye chaar baagh le key chale.
Gaye, ziyaarat-e-dar ki, sad aah waapas aaye,
Nazar key ashk piche dil ka daagh le key chale,
Madeene jaan-e-jinaan-o-jahaa(n) hay wo sun lein,
Jinhein junoon-e-jinaa(n) sooye zaagh le key chale.
Tere sahaaab-e-sukhan sey na nam key nam sey bhi kam,
Baleegh behr-e-balaaghat balaagh le key chale.
Huzoor-e-Taibah sey bhi koi kaam barh kar hay,
Key jhoote heele makr-o-faraagh le key chale.
Tumhaare wasf-e-jamaal-o-kamaal mein jibraeel,
Muhaal hay key majaal-o-masaagh le key chale.
Gilah nahin hay mureed rasheed-e-shaitaa(n) sey,
Keh us key wusa’at-e-ilmi ka laagh le key chale.
Har eik apne bare ki barayi karta hay,
Har eik mugbachah mugh ka ayaagh le key chale.
Magar Khuda pe jo dhabba darogh ka thopa,
Ye kis la’ee(n) ki ghulaami ka daagh le key chale.
Wuqoo’-e-kizb key ma’ni durust aur qudoos,
Hiye ki phoote ‘ajab sabz baagh le key chale.
Jahaa(n) mein koi bhi kaafir saa kaafir aisaa hay,
Ke apne Rab pe safaahat ka daagh le key chale.
Pari hay andhe ko ‘aadat keh shorbe hi sey khaaye,
Bater haath nah aayi to zaagh le key chale.
Khabees behr-e-khabeesah khabeesah behr-e-khabees,
Ke saath jins ko baazo-o-kulaagh le key chale.
Jo deen kawwo(n) ko de baitthe un ko yaksaa(n) hay,
Kulaagh le key chale yaa ulaagh le key chale.
RAZA kisi sag-e-Taibah key paao(n) bhi choome,
Tum aur aah keh itnaa dimaagh le key chale.
Submit By Maaz Rizvi