Madad ke waste aye sayyedi Ghous ul wara uthye
Bhanwar me phans gaya banda tumhara ab shaha uthye
Yahan ada e dee'n ka zulm chaya hai zamane me
Ke istibdaad e baatil dur ho, Ghous ul wara uthye
Banaya duzd ko abdaal tumne fazl e Maula se
Phansa hun duzd e imaa'n ke shikanje me shaha uthye
Ghamo ki dhoop hai banda tumhara paa bajulaa'n hai
Masaib me ghira hai aah aye mushkil kusha uthye
Ye najdi zumra e haq ko satate hain mere shaha
Ke behr e deen e yazdaa'n aye mere Ghous ul wara uthye
Mile'n a'laam e nusrat ho inayat mujh se aasi par
Ba roz e hashr mujhko bakhshwane shafi'aa uthye
Ata ho apne maslak par tasallub mujh ko bhi Aaqa
Tameem e Ashrafi ki hai yahi ek iltija uthye
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Az qalam- Peerzada Syed Tameem Hussaini Ashrafi
Farzand e Sajjada Nasheen Bargah e Huzoor Qutbe Raichur
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖