Madine bulana Hame Jaane Aalam
Dare Paak ka Ham nazara karenge
Wahi par jiyenge Wahi par Marenge
Wahi Zindagi bhar guzara karenge
Wo Jiski Chamak se Chamakta hai Aalam
Nigahon ko Roshan Jo karta hai Payham
Mukaddar se mil jaye Wo Sabz Gumbad
To Jee Bhar ke Uska Nazara kareinge
Padengi Muwajat pe Jis dam nigahein
Rawa Ashk honge Bharenge Ham aahein
Machalte Bilakte hue Aapko Ham
Do Aalam ke Data Pukara karenge
Ajab kaifiyat Us gadi Dil ki hogi
Jabee Jab Dare Yaar par Apni hogi
Dua ye karenge ke tham jayein gadiya
Yahi aakhri bas nazara karenge
Kabhi jake dekhenge Jannat ki Kyari
Wo Mimbar jahan Aabe Kausar hai jaari
Wo Khutbate Aaqa ka Pur-Kayf Manzar
Tasawwur mein Uska Nazara karenge
Dare Paak par Roz jaya karenge
Sa'adat ki Me'raj paya kareinge
Yu Imaan Har Roz Apna Musafir
Sawara kareinge Nikhara kareinge
Madine bulana Hame Jaane Aalam
Dare Paak ka Ham nazara karenge
Wahi par jiyenge Wahi par Marenge
Wahi Zindagi bhar guzara karenge
Submit By Md Farhan Raza