Madine Ka Manzar Haseen Kis Qadar Hai
Madine Mein Jane Ko Ji Chahta Hai
Jaha Par Chamka Muhammad Ka Ghar Hai
Wahi Ghar Banane Ko Ji Chaahta Hai
Madine Ka Manzar Haseen Kis Qadar Hai
Madine Mein Jane Ko Ji Chahta Hai
Sitaaron se ye chaand kehta hai har-dam
Tumhe kya Bataye wo Tukdon ka 'aalam
Ishaare Me Aaqa Ke Itna Maza Tha
Ki Phir Toot Jane Ko Ji Chahta Hai
Madine Ka Manzar Haseen Kis Qadar Hai
Madine Mein Jane Ko Ji Chahta Hai
Jihaad-E-Mohabbat Ki Aawaaz Goonji
Kaha Hanzla Ne Ye Dulhan Se Apni
Ijaazat Agar Do To Jaam-E-Shahaadat
Labo Par Lagaane Ko Ji Chahta Hai
Madine Ka Manzar Haseen Kis Qadar Hai
Madine Mein Jane Ko Ji Chahta Hai
Jo Poochha Nabi Ne Ki Kuchh Ghar Bhi Chhoda
To Siddiq-E-Akbar Ke Honthon Pe Aaya
Wahaan Maal-O-Daulat Ki Kya Hai Haqeeqat
Jahan Jaan Lutaane Ko Ji Chaahta Hai
Madine Ka Manzar Haseen Kis Qadar Hai
Madine Mein Jane Ko Ji Chahta Hai
Wo Nanha Sa Asgar, Wo Aedi Ragad Kar
Yahi Keh Raha He Wo Khaime Me Ro Kar
Ae baaba ! Main Paani Ka Pyaasa Nahin Hun
Mera Sar Kataane Ko Ji Chaahta Hai
Madine Ka Manzar Haseen Kis Qadar Hai
Madine Mein Jane Ko Ji Chahta Hai
Falak Thalthalya Jami Kamp Uthi
Luta Karbala Me Gharana Nabi ka
Nabi Ke Gharane Pe Mujhko Ae Asad
Ke Kurban Jane Ko ji Chaahta Hai
Madine Ka Manzar Haseen Kis Qadar Hai
Madine Mein Jane Ko Ji Chahta Hai
Jaha Par Chamka Muhammad Ka Ghar Hai
Wahi Ghar Banane Ko Ji Chaahta Hai