Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon
Khuda Kab Bulalain Mujhe Apne Ghar Me
Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon
Kabhi To Sunega Duaen Wo Meri
Kabhi To Sunega Sadaen Wo Meri
Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon
Jo Logon Say Sun Sun Kay Nakhse Hain Khenche
Haqiqat May Honge Manazir Wo Kaise
Kabhi Jake Dekhun Khud Aankhon Se Apni
Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon
Khuda Ne Utara Jishe Asman Se
Kiya Nasb Tha Jisko Paighambaron Ne
Ushi Hajre Aswad Ka Bosa Me Lelun
Main Muddat Se Is Aas Par Jirahi Hoon
Mere Samne Ho Wo Qabe Ki Cokhat
Wo Rukne Yahmani Wo Mizabe Rehmat
Me Sehne Haram Me Karon Jake Sajde
Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon
Wo Shehre Haram Wo Madine Ki Galiyan
Wo Arafat Ka Din Minah Ki Wo Ratain
Muyasar Kabhi Hon Hame Sare Jalwe
Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon
Mere Samne Ho Wo Gunbade Khizran
Wo Roze Ki Jaali Wo Jannath Ka Gosha
Kabhi Chuom Lon Jake Khake Madina
Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon
Nehi Hay Bharosa Koi Zindegi Ka
Ushi Ko Khabar Hay Wohi Janta Hay
Bulalega Hamko Wo Marne Se Pehle
Bulalijiye Mujhko Wo Marne Se Pehle
Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon
Khuda Kab Bulalain Mujhe Apne Ghar Me
Main Muddat Se Is Aas Par Ji Rahi Hoon
Submit by Mahir