Mar ke jeene ka paauñ mazaa khair se,
Raah e Taibah me aaye qazaa khair se.
Keejiye mere haq meiñ du'a khair se,
Khaak e Taibah meiñ ho meri jaa khair se.
Mujh ko Unn ka ishaaraah milaa khair se,
Meiñ Madine ki jaanib chalaa khair se.
Khoob guzrenge subh o masaa khair se,
Unn ke Dar pe jo bistar jamaa khair se.
'Aam hai unn ka jood o sakhaa khair se,
Unn ke Dar pe haiñ shaah o gadaa khair se.
Woh utthi mawj e behr e 'ataa khair se,
Yaa woh dast e karam utth gaya khair se.
Shaam se hum to Taibah meiñ neend aagayi,
Zindagi ka sawera huwa khair se.
Khaak e Taibah ko paa kar hoon meiñ shaadmaañ,
Mera "Akhtar" darakhshaañ huwa khair se.