Mashgala aisa batao ke zara ji behle
tazkara unka sunao ke zara ji behle
hijr ki raat he gam tut raha he sar par
did khwabo me karao ke zara ji behle
mashgala aisa batao.......
Dil pareshan he sanse he ukharane vali
meri aankho me samao ke zara ji behle
mashgala aisa batao.......
Rukhe taban ki jalak dekhlu par tab kaha
nakshe-pa hi vo dikhao ke zara ji behle
mashgala aisa batao.......
rukhe taban ki meri zalak dekhalu par tab kahan
nakase-pa hi wo dikhao ke zara ji bahle
mashgala aisa batao...................................
mot hi shart hai didar ki khatir phir to
ruh jaldi se le jao ke zara ji behle
mashgala aisa batao...................................
wasl ki sab hai meri kabr hai tanha main hu
intezar ab na karao ke zara ji bahle
mashgala aisa batao...................................
zulmate kabr lagi kehane 'rafi' se ek din
sama ulfat ki jalao ke zara ji bahle
mashgala aisa batao...................................
aakhi kuch hai ek or bhi aehsaan karo
meri bali pe tum aao ke zara ji behle
mashgala aisa batao...................................