Shahe Mardan Shere Yadan Quwat e Parwardigar
Maidan Me Aa Gaye Ho Toh Fir Khul Ke Baat Ho
Mai Toh Ali Ke Sath Hu Tum Kiske Sath Ho
Naara e Ali Joh Aa Gaya Meri Zubaan Par
Jibreel Muskurane Lage Aasman Par
Munkir Ki Kya Majal Joh Ghar Par Aa Sake
Naam e Ali Joh Likha Hai Mere Makaan Par
Meri Jaan Ali, Imaan Ali, Pehchaan Ali, Shaan Ali
Beshak Ali Nabi Ke Gharane Ki Laaj Hai
Mushkil Khusha Hai Fatema Ke Sar Ka Taaj Hai
Woh Aabroo e Deen Risalat Ma’haab Hai
Allah Ke Habib Ka Woh Intakhaab Hai
Pyaare Nabi Ne Chunke Inhe Qainat Me
Beti Ka Haath De Diya Haidar Ke Haath Me
Ali Imam e manasto Manam Ghulaam e Ali
Hazaar Jaan e Giraami Fidaa Ba Naam e Ali
Unki Na Koi Misaal Na Koi Jawab Hai
Maula e Qainat Ali Ka Khitaab Hai
Iss Waaste Laqab Tera Maula Ali Huwa
Jiss Par Nigah Daal Di Woh Bhi Wali Huwa
Ali Ka Ishq Muqaddar Sanwar Deta Hai
Ali Ka Bughz Toh Chehra Bigaar Deta Hai
Ali Ki Zaat Ko Adnaa Na Samajh Aye Munkeer
Yeh Ek Haath Se Khyber Ukhaar Deta Hai
Kaisa Naseeb Dekhiye Maula Ali Ka Hai
Aankhen Khuli Toh Saamne Chehra Nabi Ka Hai
Ek Naam Chaar Yaaron Me Sher e Khuda Ka Hai
Ek Naam Panjatan Me Mushkil Kusha Ka Hai