Mera Sar Ho Nabi Ka Dar Guzara Ho To Aisa Hon
Chamakta Meri Qismat Ka Sitaara Ho To Aisa Hon
Rahun Sarkar Ka Mangta Guzara Ho To Aisa Hon
Na Jaun Phir Kisi Dar Par Guzara Ho To Aiza Hon
Wo Waqte Aqree Ho Phir Lahad ho Aur Phir Mehshar
Nabi Thame Rahe Mujh Ko Sahara Ho To Aisa Hon
Rasool e Paak Ho Jalwa Nu Ma Aur Main Padoon Naatein
Koi Mehfil Saje Aise Nazaara Ho To Aisa Hon
Phire Taiba Ki Galliyon Mein Mange Sadqe Muhammad Ke
Hamaari Zindagaani Ka Guzara Ho To Aisa Ho
Wo Mauje Zindagi Ne Hamko Pohnchaya Madine Mein
Muqaddar Ne Kaha Ham Se Kinara Ho To Aisa Hon
Wo Dunya Ho Ke U'kba Hon Jahan Bhi Mein Rahun
Aqa Mile Hasnain Ke Sadqe Guzara Ho To Aisa Ho
Mere Khadmon Mein Aaja Ae SIRAJE QADRI Tu Bhi
Meri Jaanib Bhi Aqa Ka Ishaara Ho To Aisa Hon
Mera Sar Ho Nabi Ka Dar Guzara Ho To Aisa Hon
Chamakta Meri Qismat Ka Sitaara Ho To Aisa Hon
Submit By Syed Ali Zeeshan