Meray Kamli Walay Ki Shaan Hi Nirali Hai
Do Jahaan Ke Dataa Hain Sara Jag Sawali Hai
Khuld Jis Ko Kehtey Hain Meri Dekhi Bhali Hai
Sabz Sabz Gunbad Hai Aur Sunehri Jaali Hai
Chaand Ki Tarah Un Ko Ham Kahain To Mujrim Hain
Choonkeh Un Ki Chowkat Peh Chaand Bhi Sawali Hai
Chaa'on Mehki Mehki Hai Dhoop Thandi Thandi Hai
Shehr E Mustafa Teri Baat Hii Niraali Hai
Woh Bilaal Habshi Hoon Yaa Owais Qarani Hoon
Un Peh Marney Waaloon Ki Har Adaa Niraali Hai
Har Taraf Madiine Main Bhirh Hai Faqiron Ki
Aik Denay Walaa Hai Sara Jag Sawaali Hai
Ham Gunahgaron Ko Rab Seh Bakhshwaa Lain Ge
Un Ke Rab Ne Kab An Kii Koi Baat Taali Hai
Qabr Ke Andhairey Ka Aey Sa'iid Keyaa Khatrah
Sham'a Mustafa Seh Main Ne Low Jo Lagaa Li Hai