Mujh pe bhi chashme karam aye mere Aaqa karna
Haq toh mera bhi hai rehmat ka takaaza karna
Tu kisi ko uthata nahi apne dar se
Ke teri shaan ke shaaya nahi aisa karna
Mai hu bekas ke tera shewa hai sahara dena
Mai hu beemaar tera kaam hai achcha karna
Mai ke zarra hu mujhe wusate sahara dede
Ke tere bas me hai katre ko bhi darya karna
Yeh tera kaam hai aye Aamina ke Durr e Yateem
Saari ummat ki shafa’at tanha tanha karna
Chaand ki tarha tere gird woh taaro ka hujoom
Woh tera halqaye ashaab me baitha karna
Mujh pe mehshar me Naseer unki nazar padh hi gayi
Kehne waale isse kehte hai Khuda ka karna