Jahaan baani ataa kardein bhari jannat hibah kar dein
Nabi mukhtaar-e-kul hein jis ko jo chaahe ataa kar dein
Jahaan mein unki chalti hai woh dum mai kya se kya kar dein
Zameen ko aasmaan kar dein suraiyyaa ko saraa kar dein
Fiza mein urne waale yoon na itraa`e nida kar dein
Woh jab chaahe jis-se chaahe us-se farmaa rawaa kar dein
Meri mushkil ko yoon aasaan mere mushkil kushaa kar dein
Har ik mauje balaa ko mere maula naa khuda kar dein
Ataa ho bekhudi mujh ko khudi meri hawa kar dein
Mujhe yoon apni ulfat mein mere maula fanaa kar dein
Jahaan mein aam paighaam-e-shahe ahmad raza kar dein
Palat kar peechhe dekhen phir se tajdeed-e-wafaa kar dein
Nabi se jo ho beygaana usse dil se juda kar dein
Pidar maadar biraadar maal-o-jaan un par fidaa kar dein
Munawwar meri aankhon ko mere shamsud duhaa kar dein
Ghamon ki dhoop mein wo saaya-e-zulfe dotaa kar dein
Kisi ko woh hansaate hein kisi ko woh rulaate hein
Woh yoon hi aazmaate hein woh ab to faislah kar dein
Gile taybah mai mal jaaoon gulon mai mil ke khil jaaoon
Hayaate jaawidaani se mujhe yoon aashnaa kar dein
Unhein manzoor hai jab tak yeh daure aazmaaish hai
Nah chaahein to abhi woh khatm daur-e-ibtilaa kar dein
Sa`ge aawaara-e-sehraa se uktaa si ga`ee duniya
Bachaao ab zamaane ka sagaan-e-mustafa kar dein
Mujhe kya fiqr ho akhtar mere yaawar hai woh yaawaar
Balaaon ko jo meri khud giraftaare balaa kar dein