Mustafa Aapke Jaisa Koi Aaya Hi Nahi
Aap Ke Jaisa Koi Rab Ne Banaya Hi Nahi
Har Fazilat Mein Hai Yakta Mere Madani Aaqa
Aapka Saani To Kya Aapka Saaya Hi Nahi
Lamha Lamha Mere Aaqa Ki Inayat Mujh Par
Mujh Ko Tanhaai Ka Ehsaas Dilaya Hi Nahi
Aapki Shaan Rosool E Arabi Kya Kehna
Khali Daman Kisi Mangta Ko Phiraya Hi Nahi
Shab E Meraj Ke Dulha Ke Siwa Auro Ko
Apna Jalwa Mere Maula Ne Dikhaya Hi Nahi
Qasim E Neymat E Rab Ki Ye Qana'at Dekho
Peyt Bhar Ke Kabhi Sarkar Ne Khaya Hi Nahi
Kabhi Aisa Na Hua Unke Karam Ke Sadqe
Maine Manga Hai Aur Aaqa Ne Dilaya Hi Nahi
Wo To Kuch Asia Karam Karte Hai Mujh Aasi Par
Zindagi Mein Gham Maine Uthaya Hi Nahi
Jism RIZWAN Ka Har Aan Safar Karta Hai
Dil Madine Se Palta Kar Kabhi Aaya Hi Nahi